
Muahdy k teht February 2026 tk 100 million dollar ka tail har maheeny diya jaye ga.
Zaraye ka kehna hy k P.M Shehbaz Sharif k Saudi Arab k daury sy mazeed ahm ailanaat k aany ki tawaqu hy. Tail ki ye sahulat, jo k isi maheeny sy shuro ho jaye gi, Pakistan ki economy aur energy sector ko support krny ki bri koshish ka aik hissa hy.
Is mulaqaat mein Pakistan k army chief General syed Asim Muneer, wazir-e-kharja Ishaq Dar aur wazir-e-aala Punjab Maryam Nawaz bhi shareek theen.

Rahnumaon ny tijarat, askari aur iqtisadi taluqaat ko mazboot bnany k azm ka iada kia, sath he Shehbaz Sharif ny is baat pr bhi roshni dali k kis trh sy dono mulkon k mazboot do tarfa taluqaat ab iqtisadi sharakat dari mein tabdeel ho rhy hain.
Baat cheet sarmaya kaari, tijarat, tawanai aur defai tawun par markuz rahi. Dono sides ny do qaumon k darmian barhty hue iqtisadi tawun par itminan ka izhar kia.
PM Shehbaz Sharif ny Saudi Arab ki ahm sectors mein sarmaya kari brhany k wadon ki taarif ki aur isy Pakistan ki iqtisadi taraqi aur istehkam ki janib aik ahm qadam qarar dia.
Khitty ki security par focus
Dono rahnumaon ny defai aur security tawun ko mazboot krny k azm ka iada krty hue khitty ko darpaish security challenges sy nimatny ki mushtarika koshishon par zor dia.
Unhon ny khitty k ubharty hue masail aur wasee geopolitical manzarnamy par baat cheet krty hue khitty mein aman, istehkam aur khushhali ko farogh deny k liye tamam levels par mil kar kaam karny par ittifaq kia.
Wali ahd shehzada Muhammad Bin Salman ny Saudi arab mein Pakistani community ki ahm khidmaat ka aitraf kia aur un k liye falahi iqdamat ko brhany par amadgi zahir ki.
Is k ilawa dono mumalik ny saqafti tabadlon, taalimi tawun aur mazboot awami rawabit ki ahmiat par zor dia ta k taluqaat ko mazeed mazboot bnaya ja sky.
Taraqi aur khushhali k apny mushtarika vision ko duhraty hue dono Leaders ny Pakistan-Saudi taluqaat ko nae bulandion tk ly jany ka azm kia.

Umrah ki adaigi
Jeddah mein apni amad par, PM shehbaz Sharif ko Jeddah k Governor shehzada Saud bin Abdullah bin Jalawi ny welcome kia.
Bad azan Makkah mein un ka istaqbal Deputy Governor Saud bin Mishal ny kia jahan wo Umrah bhi ada kren gy.